amit:
(palako.n ke tale jo sapane pale
jaanam vo sapane to sach ho gaye)-2
(ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa
hamaaraa tumako to honaa hii thaa)-2
jaan-e-jaa.N jaanaan-e-jaa.N
kavitaa:
(dil kii raaho.n me.n terii baa.Nho.n me.n
aaye ham to jaanam ham kho gaye)-2
(ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa
tumhaaraa hamako to honaa hii thaa)-2
jaan-e-jaa.N jaanaan-e-jaa.N
amit:
ye aasamaa.N hai ki tuune laharaayaa hai niilaa aa.Nchal
dharatii hasii.n hai ki tuune jhanakaa_ii hai terii paayal
kavitaa:
tere pyaar ke ye baadal ghane barase to dil ke sau Gam dho gaye
amit:
ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa
hamaaraa tumako to honaa hii thaa
kavitaa:
ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa
tumhaaraa hamako to honaa hii thaa
kavitaa:
jaan-e-jaa.N
amit:
jaanaan-e-jaa.N
kavitaa:
resham-sii hai.n narm raahe.n
chhaaye hai.n phuulo.n ke saaye
aisii nashiilii fizaa me.n
dil kyo.n bahakane lagaa hai
amit:
dekho ye nashaa hai ba.Dhane lagaa
jaan-e-man jaan-e-man ham to gaye
kavitaa:
ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa
tumhaaraa hamako to honaa hii thaa
amit:
ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa
hamaaraa tumako to honaa hii thaa
amit:
jaan-e-jaa.N
kavita:
jaanaan-e-jaa.N
amit:
saa.Nso.n me.n basane lagii hai
terii ku.Nvaarii sii Kushabuu
kavitaa:
mar jaa_uu.Ngii sharm se mai.n
mujhako na dekh is tarah tuu
amit:
paas aao sanam
kavitaa:
o tumako hai qasam
amit:
aao bhii
kavitaa:
jaao bhii
ham so gaye
amit:
jaanaan-e-jaa.N
kavita:
jaanaan-e-jaa.N
|