ja: a.Nkhiyaa.N milaa ke channaa
paa.Nvii.n naa judaa_ii ve
a.Nkhiyaa.N milaa ke channaa
paa.Nvii.n naa judaa_ii ve
deve na taane mai.n nuu.N saarii Kudaaii ve
a.Nkhiyaa.N milaa ke
saa: taare hai.n baaraatii chaa.Ndanii hai ye baaraat
saato.n phere ho.nge ab haatho.n me.n leke haath (2)
jiivan saathii ham diyaa aur baatii ham
re jiivan saathii ham diyaa aur baatii ham
ja: taare hai.n baaraatii chaa.Ndanii hai yah baaraat
saato.n phere ho.nge ab haatho.n me.n leke haath (2)
jiivan saathii ham diyaa aur baatii ham (2)
saa: taare hai.n baaraatii chaa.ndanii hai yah baaraat
saa: ga.ngaa-jamunaa se bhii paavan teraa meraa ba.ndhan
teraa prem hai phulawaari aur meraa man hai aa.Ngan
janamo.n-janamo.n kaa hii sajanii teraa meraa saath
saato.n phere ho.nge ab haatho.n me.n leke haath
jiivan saathii ham diyaa aur baatii ham
ja: jiivan saathii ham diyaa aur baatii ham
ja: tuu hai jiivan me.n jo priitam sukh nahii.n maa.Nguu.N duujaa
aaratii naino.n se karatii huu.N man se terii puujaa
mai.n to dharm hii samajhuu.N terii kahii hu_ii har baat
saato.n phere ho.nge ab haatho.n me.n leke haath
jiivan saathii ham diyaa aur baatii ham
saa: jiivan saathii ham diyaa aur baatii ham
taare hai.n baaraatii chaa.Ndanii hai ye baaraat
ja: a.Nkhiyaa.N milaa ke channaa
aave na judaaii ve
deve na taane terii mai.nnuu.N saarii Kudaaii ve
a.Nkhiyaa.N milaa ke ...
|