ko_ii jo milaa to mujhe
aisa lagataa thaa jaise
merii saarii duniyaa me.n
giito.n kii rut aur
ra.ngo.n kii barakhaa hai
Kushabuu kii aa.Ndhii hai
mahakii hu_ii sii ab
saarii fizaa_e.N hai.n
bahakii hu_ii sii ab
saarii hawaa_e.N hai.n
kho_ii hu_ii sii ab
saarii dishaa_e.N hai.n
badalii hu_ii sii ab
saarii adaa_e.N hai.n
jaagii uma.nge.n hai.n
dha.Dak rahaa hai dil
saa.Nso.n me.n tuufaa.N hai
ho.nTho.n pe naGame.n hai.n
aa.Nkho.n me.n sapane hai.n
sapano.n me.n biite hu_e
saare wo lamhe hai.n
jab ko_ii aayaa thaa
dil me.n samaayaa thaa
kaise mai.n bataauu.N tumhe
kaisaa use paayaa thaa
pyaar se chehare pe
bikharii jo zulfe.n to
aisa lagataa thaa jaise
kohare ke piichhe ik
os me.n dhulaa hu_aa
phuul khilaa hai
jaise baadal me.n ek
chaa.Nd chhupaa hai aur
jhaa.Nk rahaa hai jaise
raat ke parde me.n
ek saveraa hai
roshan roshan
aa.Nkho.n me.n sapano.n kaa
saagar jisame.n
prem sitaaro.n kii
chaadar jaise
jhalak rahii hai
laharo.n laharo.n
baat kare.n to jaise motii barase
jaise kahii.n chaa.Ndii kii paayal guu.Nje
jaise kahii.n shiishe ke jaam gire.n aur chhan se TuuTe.n
jaise ko_ii chhupake sitaar bajaa_e
jaise ko_ii chaa.Ndanii raat me.n gaa_e
jaise ko_ii haule se paas bulaa_e
kaisii miiThii baate.n thii.n wo
kaisii mulaakaate.n thii.n wo
jab mai.nne jaanaa thaa
nazaro.n se kaise
pighalate hai.n dil aur
aarazuu paatii hai
kaise ma.nzil aur
kaise utarataa hai
chaa.Nd zamii.n par
kaise kabhii lagataa hai
swarg agar hai to
bas hai yahii.n par
usane bataayaa mujhe
aur samajhaayaa mujhe
ham jo mile hai.n hame.n
aise hii milanaa thaa
gul jo khile hai.n unhe.n
aise hii khilanaa thaa
janmo.n ke ba.ndhan, janmo.n ke rishte hai.n
jab bhii ham janme to, ham yahii.n milate hai.n
kaano.n me.n jaise mere
shahad se ghulane lage
Kwaabo.n ke dar jaise
aa.Nkho.n me.n khulane lage
Kwaabo.n kii duniyaa bhii
kitanii hasii.n aur
kaisii ra.ngii.n thii
Kwaabo.n kii duniyaa jo
kahane ko thii par
kahii.n bhii nahii.n thii
Kwaab jo TuuTe mere
aa.Nkhe.n jo khulii.n merii
hosh jo aayaa mujhe
mai.nne dekhaa, mai.nne jaanaa
wo jo kabhii aayaa thaa
nazaro.n pe chhaayaa thaa
dil me.n samaayaa thaa
jaa bhii chukaa hai aur
dil meraa ab hai tanhaa tanhaa
na to ko_ii aramaa.N hai
na ko_ii tamannaa hai aur
na ko_ii sapanaa hai
ab jo mere din aur
ab jo merii raate.n hai.n
uname.n sirf aa.Nsuu hai.n
uname.n sirf dard kii
ra.nj kii baate.n hai.n
aur fariyaade.n hai.n
meraa ab ko_ii nahii.n
mai.n huu.N aur kho_e hu_e pyaar kii yaade.n hai.n (3)
|