do raato.n ke biich ek chhoTaa-saa din bechaaraa hai, kyaa kare?
do dino.n ke biich ek chhoTii sii raat hai
raat ke idhar ek din, raat ke udhar ek din
din to hai.n do, bas raat ek hai
kar lo jo chaaho, ban lo jo chaaho
aaj hai tumhaaraa, aur kal bhii tumhaaraa hai
do ghaaTo.n ke biich ek patalii-sii dhaaraa hai, kyaa kare?
ghaaT nahii.n chalate, dhaaraa chalatii hai
patalii-sii dhaaraa chal kar samundar se milatii hai
samundar se milatii hai, mil kar kho jaatii hai
ghaaT ghaaT hii rahate hai.n, vo samundar ho jaatii hai
% Sung lines
samundar ko baa.Ndhe aisaa koii ghaaT nahii.n
qadamo.n ko thaame aisii koii baaT nahii.n
% Back to recitation
kar lo jo chaaho, ban lo jo chaaho
tum kar nahii.n sakate, aisaa kahii.n kuchh bhii nahii.n
is liye, yah na kahanaa kabhii, kaise kare.n, kyaa kare.n
(mai.n kar sakataa huu.N, mai.n karataa huu.N
mujhe karanaa hii hai, mai.n karuu.Ngaa) -4
mai.n kar sakataa nahii.n aisaa kahii.n kuchh bhii nahii.n
% Sung lines
samundar ko baa.Ndhe aisaa koii ghaaT nahii.n
qadamo.n ko thaame aisii koii baaT nahii.n
patalii-sii dhaaraa chal kar samundar se milatii hai
samundar se milatii hai aur mil kar kho jaatii hai
% Back to recited lines
ghaaT ghaaT hii rahate hai.n, vo samundar ho jaatii hai
|