giitaayan An Interface to ISB

apanii aa.Nkho.n me.n basaakar koii iqaraar karuu.N - Thokar (1974)  

Lyrics: Saajan Dehlavi | Music: Shamji Ghanshamji | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
apanii aa.Nkho.n me.n basaakar koii iqaraar karuu.N - 2 jii me.n aataa hai ki jii bhar ke tujhe pyaar karuu.N apanii aa.Nkho.n me.n basaakar koii iqaraar karuu.N mai.n ne kab tujh se zamaane kii Kushii maa.Ngii hai ek halakii sii mere lab ne ha.Nsii maa.Ngii hai - 2 saamane tujh ko biThaakar teraa diidaar karuu.N jii me.n aataa hai ki jii bhar ke tujhe pyaar karuu.N apanii aa.Nkho.n me.n basaakar koii iqaraar karuu.N sahamii-sahamii ye nigaahe.n ye javaanii taubaa mast nazaro.n me.n hai ulfat kii kahaanii taubaa aa merii jaan-e-tamannaa teraa si.ngaar karuu.N jii me.n aataa hai ki jii bhar ke tujhe pyaar karuu.N apanii aa.Nkho.n me.n basaakar koii iqaraar karuu.N saath chhuuTe na kabhii teraa yah qasam le luu.N har Kushii deke tujhe tere sanam Gam le luu.N - 2 haay, mai.n kis tarah se pyaar kaa izahaar karuu.N jii me.n aataa hai ki jii bhar ke tujhe pyaar karuu.N apanii aa.Nkho.n me.n basaakar koii iqaraar karuu.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.