Kaamosh hai jo ye vo sadaa hai
vo jo nahii.n hai vo kah rahaa hai
saathiyo tumako mile jiit-hii-jiit sadaa
bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa
jaa_o jo lauT ke tum, ghar ho Kushii se bharaa
bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa
kal parabato.n pe kahii.n, barasii thii.n jab goliyaa.N
ham log the saath me.n, aur hausale the javaa.N
ab tak chaTTaano.n pe hai.n, apane lahuu ke nishaa.N
saathii mubaarak tumhe.n, ye jashn ho jiit kaa
bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa
kal tumase bichha.Dii hu_ii, mamataa jo phir se mile
kal phuul-cheharaa ko_ii, jab tumase milake khile
paa_o tum itanii Kushii, miT jaa_e.N saare gile
hai pyaar jinase tumhe.n, saath rahe.n vo sadaa
bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa
jab amn kii baa.Nsurii, guu.Nje gagan ke tale
jab dostii kaa diyaa, in sarahado.n pe jale
jab bhuulake dushmanii, lag jaa_e ko_ii gale
jab saare insaano.n kaa, ho ek hii qaafilaa
bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa
jaa_o jo lauT ke tum, ghar ho Kushii se bharaa
bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa
|