jab do pyaar milate hai.n
(jab do pyaar milate hai.n
tan me.n phuul khilate hai.n
man ke ma.ndir me.n jal jaate hai.n diye
ye zamii.n (aa haa)-3 aasamaa.N (aa haa)-3
tham jaate hai.n do pal ke liye)-2
(roke hamako zamaanaa chaahe jis mo.D pe)-2
har yug me.n ham chale hai.n za.njiire.n to.D ke
jab ho rain a.Ndhiyaarii yaa tuufaan ho bhaarii
phir ham diivaano.n kaa milanaa dekhiye
ye zamii.n (aa haa)-3 aasamaa.N (aa haa)-3
tham jaate hai.n do pal ke liye
(dil kii chaahat ke aage kaisaa chhoTaa ba.Daa)-2
uu.Nchaa hokar milaa jo usako jhukanaa pa.Daa
jisakii priit hotii hai usakii jiit hotii hai
ham kyaa kar sakate hai.n ye naa puuchhiye
ye zamii.n (aa haa)-3 aasamaa.N (aa haa)-3
tham jaate hai.n do pal ke liye
(ajii sun lo ai sunanevaalo.n aatii hai kyaa sadaa)-2
dekh lo chalane lagii hai jag me.n ye kaisii havaa
rut karavaT badalatii hai har diivaar hilatii hai
diivaaro.n se baahar chalake dekhiye

|