lataa:
lukaa-chhupii bahut huii
saamane aajaa naa
kahaa.N-kahaa.N Dhuu.NDhaa tujhe
thak gaI hai ab terii maa.N
aajaa saa.Njh huii mujhe terii fikar
dhu.Ndhalaa gaI dekh merii nazar
aajaa naa
rahamaan:
kyaa bataauu.N maa.N kahaa.N huu.N mai.n
yahaa.N u.Dane ko mere khulaa aasamaa.N hai
tere qisso.n jaisaa bholaa
salonaa jahaa.N hai yahaa.N sapano.n waalaa
merii pata.ng ho befikar u.D rahii hai maa.N
Dor koii luuTe nahii.n biich se kaaTe naa
lataa:
terii raah take.n a.Nkhiyaa.N
jaane kaisaa-kaisaa hoye jiyaa
dhiire-dhiire aakar utare a.Ndheraa
teraa diip kahaa.N
Dhal ke suuraj kare ishaaraa
chandaa tuu hai kahaa.N
mere chandaa tuu hai kahaa.N
rahamaan:
kaise tujhako dikhaa_uu.N yahaa.N hai kyaa
mai.nne jharane se paanii maa.N to.D ke piyaa hai
guchchhaa-guchchhaa ka_ii Kwaabo.n kaa
uchhal ke chhuaa hai
chhaayaa lie bhalii dhuup yahaa.N hai
nayaa-nayaa saa hai ruup yahaa.N
yahaa.N sab kuchh hai maa.N phir bhii
lage bin tere mujhako akelaa
|