labo.n se chuum lo, aa.Nkho.n se thaam lo mujhako
tum hii se janmuu.n to shaayad mujhe panaah mile
[Gulzar:
do sau.nDhe sau.nDhe se jism jis waqt
ek muThThii me.n so rahe the
bataa to us waqt mai.n kahaa.N thaa
bataa to us waqt tuu kahaa.N thii]
mai.n aarazuu kii tapish me.n pighal rahii thii kahii.N
tumhaare jism se hokar nikal rahii thii kahii.N
baDe hasiin the jo raah me.n gunaah mile
tum hii se janmuu.n to shaayad ...
[Gulzar:
tumhaarii lau ko pakaDake jalane kii aarazuu me.n
jab apne hii aap se lipaT ke sulag rahaa thaa
bataa to us waqt mai.n kahaa.N thaa
bataa to us waqt tuu kahaa.N thii]
tumhaarii aa.Nkho.n ke saahil se duur duur kahii.N
mai.n Dhuu.nDhatii thii mile khushabuu_o.n kaa nuur kahii.N
wahii.N rukii huu.N jahaa.N se tumhaarii raah mile
tum hii se janmuu.n to shaayad ...
|