giitaayan An Interface to ISB

ai jaan-e-chaman teraa goraa badan - Anmol Moti (1969)  

Lyrics: Rajendra Krishan | Music: Ravi | Singer(s): Mahendra Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
ai husn-e-beKabar, tujhe takane ko ek nazar jhukataa to hogaa roz tere ghar pe maahataab (ai jaan-e-chaman teraa goraa badan jaise khilataa huaa gulaab zaalim terii jawaanii, qayaamat teraa shabaab ai jaan-e-chaman) (2) ai jaan-e-chaman ... mal-mal ke jism itanaa bhii, paanii me.n mat nahaa (2) Dar hai kahii.n ye paanii bhii ban jaae naa sharaab ai jaan-e-chaman teraa goraa badan ... ai jaan-e-chaman ... baaGo.n ke aas paas bhii jaanaa na bhuul ke (2) hogaa bharii bahaar me.n, phuulo.n kaa jii Karaab ai jaan-e-chaman teraa goraa badan ... ai jaan-e-chaman ... tujhako banaanewaalaa bhii sau koshishe.n kare (2) laa na sakegaa, Dhuu.N.Dh ke teraa koii jawaab ai jaan-e-chaman teraa goraa badan ... (2) ai jaan-e-chaman ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.