giitaayan An Interface to ISB

kar lo praNaam ai logo - (Non-film) (1965)  

Lyrics: Pradeep | Music: C Ramchandra | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
kar lo praNaam ai logo vo vandaniiya hai.n bahane.n is desh ke liye jinho.nne vidhavaa ke kapa.De pahane praNaam un dulhano.n ko meraa jinho.nne apanaa sab kuchh ga.Nwaayaa vatan ye zindaa rahe isaliye apanaa suhaag-sinduur luTaayaa praNaam un dulhano.n ko meraa ye hai.n wahii dulhane.n jinho.nne siimaa par priitam khoye hai.n saaraa bhaaratavarSh jagaake inake sage abhii soye hai.n Kud ko miTaakar in bahano.n ne is maaTii kaa qarz chukaayaa vatan ye... ik din samay badal jaayegaa mulk me.n aayegii Kushahaalii par sarahad pe bhaTakatii rahegii inakii aa.Nkhe.n Kaalii Kaalii tira.nge kii roshanii kii Kaatir inho.nne ghar kaa diyaa bujhaayaa vatan ye...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.