jaaved:
piile patto.n kaa mausam jaa chukaa hai
zamiin pe har taraf ra.ng hii ra.ng hai.n, shoK aur dilakash
ujale aasamaan me.n safed baadalo.n kii Tuka.Diyaa.N tair rahii hai.n
vaadiyo.n me.n harii ghaas ke qaaliin bichh ga_e hai.n
yahii sab kuchh thaa, jab ham-tum mile the
vahii sab kuchh hai, lekin tum nahii.n ho
alakaa :
jab giit havaa_o.n ne gaa_e, tum yaad aa_e
jab Kushbuu ke baadal chhaa_e, tum yaad aa_e
jab subaho.n ne ra.ng chhalakaa_e, tum yaad aa_e
jab mahake shaamo.n ke saa_e, tum yaad aa_e
tum yaad aa_e
jab giit havaa_o.n ne gaa_e, tum yaad aa_e
jab Kushbuu ke baadal chhaa_e, tum yaad aa_e
jab ko_ii sunaharaa din aayaa, jab mausam jhuumaa laharaayaa
jab rut ne lii ik a.Nga.Daa_ii, jab dhuup me.n narmii-sii aa_ii
jab ra.ng na_e kaliyo.n ko mile, jab Daalii-Daalii phuul khile
jab phuulo.n pe bha.Nvare ma.NDalaa_e, tum yaad aa_e
jab giit havaa_o.n ne gaa_e, tum yaad aa_e
jab ko_ii suhaanii raat aa_ii, jab sapano.n kii baaraat aa_ii
jab a.nbar me.n taare damake, jab aa.Ngan me.n juganuu chamake
jab hu_ii ghanerii Kaamoshii, jab chhaa_ii halkii behoshii
jab raat ne tan-man pighalaa_e, tum yaad aa_e
jab giit havaa_o.n ne gaa_e, tum yaad aa_e
|