(o ghaTaa saa.Nvarii
tho.Dii tho.Dii baavarii
ho ga_ii hai barasaat kyaa
har saa.Ns hai bahakii hu_ii
ab ke baras hai ye baat kyaa
har baat hai bahakii hu_ii
ab ke baras hai ye baat kyaa) (2)
paake akelii mujhe
meraa aa.Nchal mere saath ulajhe
chhuu le achaanak ko_ii
laT me.n aise meraa haath ulajhe
kyuu.N re baadal tune ... e e e ... haa ... uii
tuune chhuaa meraa haath kyaa
o ghaTaa saa.Nvarii
tho.Dii tho.Dii baavarii
ho ga_ii hai barasaat kyaa
har saa.Ns hai bahakii hu_ii
ab ke baras hai ye baat kyaa
har baat hai bahakii huyii
ab ke baras hai ye baat kyaa
aavaaz thii kal yahii
phir bhii aise lahakatii na dekhii
pag me.n thii paayal magar
phir bhii aise chhanakatii na dekhii
cha.nchal ho ga_e ghu.Ngharuu ... ruu ... me - re ...
ghu.Ngharuu mere raato.n raat kyaa
o ghaTaa saa.Nvarii
tho.Dii tho.Dii baavarii
ho ga_ii hai barasaat kyaa
har saa.Ns hai bahakii hu_ii
ab ke baras hai ye baat kyaa
har baat hai bahakii hu_ii
ab ke baras hai ye baat kyaa
mastii se bojhal pavan
jaise saayaa ko_ii man pe Dole
barakhaa kii har buu.Nd par
tharatharii sii mere tan pe Dole
paagal mausam jaa re
jaa jaajaa jaa hmm ... hmm ...
jaa tuu lagaa mere saath kyaa
o ghaTaa saa.Nvarii
tho.Dii tho.Dii baavarii
ho ga_ii hai barasaat kyaa
har saa.Ns hai bahakii hu_ii
ab ke baras hai ye baat kyaa
har baat hai bahakii hu_ii
ab ke baras hai ye baat kyaa
%
endsong
|