la: apanii kaho kuchh merii suno
kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae
ta: rone kii aadat aisii pa.Dii
ha.Nsane kaa taraanaa bhuul gae, haa.N bhuul gae
la: kaalii raate.n biit ga_ii.n
phir chaa.Ndanii raate.n aaii hai.n -2
ta: dil me.n nahii.n ujiyaalaa mere
Gam kii ghaTaae.n chhaaii hai.n -2
la: priit ke vaade yaad karo
kyaa priit nibhaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae
ta: bhuulaa huaa hai raah musaafir
bichha.Daa huaa hai ma.nzil se -2
la: khoe hue raste kaa pataa
tum puuchh lo Kud apane dil se -2
ta: chalate chalate aise thake
ma.nzil kaa Thikaanaa bhuul gae, haa.N bhuul gae
la: nazdiik aao, nazdeek aa ...
yah mausam nahii.n phir aane kaa -2
ta: nazdiik shamaa ke jaane se
kyaa haal huaa parvaane kaa -2
la: miTane kaa fasaanaa yaad rahaa
jalane kaa fasaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae
apanii kaho kuchh merii suno
kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae
|