jo raah chunii tuune, usii raah pe raahii chalate jaanaa re
ho kitanii bhii lambii raat, diyaa ban jalate jaanaa re
kabhii pe.D kaa saayaa pe.D ke kaam na aayaa
sevaa me.n sabhii kii usane janam bitaayaa
koii kitane bhii phal to.De, use to hai phalate jaanaa re
usii raah pe raahii chalate jaanaa re
jiivan ke safar me.n aise bhii mo.D hai.n aate
jahaa.N chal dete hai.n apane bhii to.D ke naate
kahii.n dhiiraj chhuuT na jaaye, tuu dekh sambhalate jaanaa re
usii raah pe raahii chalate jaanaa re
tere pyaar kii maalaa kahii.n jo TuuT bhii jaaye
janamo.n kaa saathii kabhii jo chhuuT bhii jaaye
de dekar jhuuThii aas tuu khud ko chhalate jaanaa re
usii raah pe raahii chalate jaanaa re
terii apanii kahaanii ye dapa.rN bol rahaa hai
bhiigii aa.Nkh kaa paanii, haqiikat khol rahaa hai
jis ra.ng me.n Dhaale vaqt, musaafir Dhalate jaanaa re
usii raah pe raahii chalate jaanaa re
|