giitaayan An Interface to ISB

aajaa ke bulaate hai.n - Pathan (1962)  

Lyrics: Khawar Zaman | Music: Fakir Mohammad Asar Jimmy | Singer(s): Talat Mahmood 
View in Nagari (Hindi)
aajaa ke bulaate hai.n tujhe ashk hamaare aajaa ke bulaate hai.n chup chaap nigaaho.n ne tumhe.n pyaar kyaa thaa is dil ne muhabbat ka jo iqaraar kyaa thaa kaTate hai.n mere din unhii.n yaado.n ke sahaare yaad aate hai.n vo din jo tere saath guzaare aajaa ke bulaate hai.n... ho.nTho.n pe machalane ke lie giit nahii.n hai ab haar hai jiivan me.n koii jiit nahii.n hai ham pyaar kii baazii kabhii jiite kabhii haare yaad aate hai.n vo din jo tere saath guzaare aajaa ke bulaate hai.n ... jis nadiyaa pe kaTatii thii har ik shaam suhaanii (2) jis nadiyaa pe ha.Nsatii thii kabhii aa ke javaanii rotaa hai meraa dil usii nadiyaa ke kinaare yaad aate hai.n vo din jo tere saath guzaare aajaa ke bulaate hai.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.