giitaayan An Interface to ISB

kahaa.N merii ma.nzil kahaa.N merii raahe.n - Diwaali Ki Raat (1956)  

Lyrics: Madhukar Rajasthani | Music: Snehal Bhatkar | Singer(s): Talat Mahmood 
View in Nagari (Hindi)
kahaa.N merii ma.nzil kahaa.N merii raahe.n kahaa.N apane dil ko lie jaa rahaa huu.N bahaaro.n ne mujhase kiyaa hai kinaaraa fizaao.n ko sajade kie jaa rahaa huu.N girii aisii bijalii jalaa aashiyaanaa magar ye chaman me.n kisii ne na jaanaa luTii merii duniyaa miTii aarazue.N magar phir bhii ab tak jie jaa rahaa huu.N shikaayat na unase na koii gilaa hai jahaa.N me.n muhabbat kaa ye hii silaa hai chhupaae hue dard dil me.n hazaaro.n hujuum-e-tamannaa lie jaa rahaa huu.N bhulaa do mujhe aur merii kahaanii mubaarak ho tumako na_ii zi.ndagaanii salaamat raho tumako saharaa mubaarak duaae.N mai.n dil se die jaa rahaa huu.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.