aa.n....
kabhii shaaK-o-sabzaa-o-barg par
kabhii Gu.nchaa-o-gul-o- Kaar par
mai.n chaman me.n chaahe jahaa.N rahuu.N
meraa haq hai fasal-e-bahaar par
mai.n chaman me.n chaahe jahaa.N rahuu.N
mujhe de na Gaib me.n dhamakiyaa.n
gire.n laakh baar ye bijaliyaa.n
merii sar tanak yahii aashiyaa.n
merii milkiyat yahii pyaar par
merii sar tanak yehii aashiyaa.n
merii simT se use ai sabaa
ye payaam-e-aaKir-e-Gam sunaa
abhii dekhanaa ho to dekh jaa
ke Kizaa.n hai apanii bahaar par
abhii dekhanaa ho to dekh jaa
ye fareb-e-jalavaa-e-sar basar
mujhe Dar hai ye dil-e-beKabar
kahii.n jam na jaaye terii nazar
inhii.n cha.nd naqsh-o-nigaar par
kabhii shaakh-o-sabzaa-o-barg par
% Asha sings the following stanzas as 1 & 3 and not the 1 & 3 above.
% The second stanza she sings is the same as that in the Talat version
ajab i.nqalaab-e-zamaanaa hai
meraa muqtasar saa fasaanaa hai
ye jo aaj baar hai dosh par
yahii sar thaa zaano-e-yaar par
kabhii shaakh-o-sabzaa-o-barg par
mai.n rahiin-e-dad.r sahii magar
mujhe aur kyaa chaahiye `jigar'
Gam-e-yaar hai meraa shefataa
mai.n farefataa Gam-e-yaar par
kabhii shaakh-o-sabzaa-o-barg par
|