ab ke baras
ab ke baras tujhe dharatii kii raanii kar de.nge ab ke baras
ab ke baras terii pyaaso.n me.n paanii bhar de.nge ab ke baras
ab ke baras terii chuunar ko dhaanii kar de.nge ab ke baras
ye duniyaa to faanii hai, bahataa saa paanii hai
tere hawaale ye zindagaanii
ye zindagaanii kar de.nge ab ke baras
duniyaa kii saarii daulat se izzat hamako pyaarii
muTThii me.n qismat hai apanii hamako mehanat pyaarii
miTTii kii qiimat kaa jag me.n koii ratan nahii.n hai
zillat ke jiivan se badatar koii qafan nahii.n hai
desh kaa har diiwaanaa apane praaN chiir kar bolaa
balidaano.n ke Kuun se apanaa ra.Ng lo basantii cholaa
abake hamane jaanii hai sabane man me.n Thaanii hai
hamalaawaro.n kii Katm kahaanii
Katm kahaanii kar de.nge ab ke baras
sukh sapano.n ke saath hazaaro.n dukh bhii tuune jhele
ha.Nsii Kushii se bhiige phaagun ab tak kabhii na khele
chaaro.n or hamaare bikhare baaruudii afsaane
jalatii jaatii shammaa jalate jaate hai.n paravaane
phir bhii ham zindaa hai.n apane balidaano.n ke bal par
har shahiid faramaan de gayaa siimaa par jal jal kar
yaaro TuuT bhale hii jaanaa lekin kabhii na jhukanaa
qadam qadam par maut milegii phir bhii tum na rukanaa
bahut sah liya ab na sahe.nge siine bha.Dak uThe hai.n
nas-nas me.n bijalii jaagii hai baazuu pha.Dak uThe hai.n
si.nhaasan kii Kair karo zulmo.n ke Thekedaaro
desh ke beTe jaag uThe tum apanii maut nihaaro
a.ngaaro.n kaa jashn manegaa har sholaa jaagegaa
balidaano.n kii is dharatii se har dushman bhaagegaa
hamane qasam nibhaanii hai denii har qurbaanii hai (2)
apane saro.n kii, apane saro.n kii
antim nishaanii dhar de.nge ab ke baras
ab ke baras tujhe dhartii kii raanii kar de.nge ab ke baras
|