giitaayan An Interface to ISB

kaviraajaa kavitaa ke mat ab kaan maro.Do - Navrang (1959)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: C Ramchandra | Singer(s): Bharat Vyas 
View in Nagari (Hindi)
kaviraajaa kavitaa ke mat ab kaan maro.Do dhandhe kii kuchh baat karo kuchh paise jo.Do sher shaayarii kaviraajaa na kaam aayegii kavitaa kii pothii ko diimak khaa jaayegii bhaav cha.Dh rahe anaaj ho rahaa maha.ngaa din din bhuukhe maroge raat kaTegii taare gin gin isii liye kahataa huu.N bhaiyyaa ye sab cho.Do dhandhe kii kuchh baat karo kuchh paise jo.Do are chho.Do kalam chalaao mat kavitaa kii chaakii ghar kii roka.D dekho kitane paise baakii are kitanaa ghar me.n ghii hai kitanaa garam masaalaa kitanaa paapa.D, ba.Di, ma.ngorii mich.r masaalaa kitanaa tel luuN, michii.r, haldii aur dhaniyaa kaviraajaa chupake se tum ban jaao baniyaa are paise par rach kaavya are paise are paise par rach kaavya bhuukh par giit banaao gehuu.N par ho Gazal, dhaan ke sher sunaao lauN mich.r par chaupaa_ii, chaaval par dohe sugal koyale par kavitaa likho to sohe kam bhaa.De kii are kam bhaa.De kii kholii par likho qavvaalii jhan jhan karatii kaho rubaa_ii paise vaalii shabdo.n kaa ja.njaal ba.Daa lafa.Daa hotaa hai kavi sammelan dost ba.Daa jhaga.Daa hotaa hai mushaayaro.n ke shero.n par raga.Daa hotaa hai paise vaalaa sher ba.Daa taga.Daa hotaa hai isii liye kahataa huu.N mat is se sar pho.Do dhandhe kii kuchh baat karo kuchh paise jo.Do
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.