giitaayan An Interface to ISB

o ga.ngaa maiyaa paar lagaa de mere sapano.n kii naiyaa - Chandan Ka Palna (1967)  

Lyrics: Majrooh | Music: R D Burman | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
o ga.ngaa maiyaa - 2 paar lagaa de mere sapano.n kii naiyaa - 2 o ga.ngaa maiyaa ... guzare idhar se bhii kaalii ghaTaaye.n - 2 maa.N terii mamataa ko degii duaaye.n - 2 dukhiyaa ke aa.Ngan kii tuu thii kalaiyaa o ga.ngaa maiyaa ... jisaliye nainaa taras rahe hai.n saawan bhaado se baras rahe hai.n - 2 sandes laike wo aaye purawaiyaa o ga.ngaa maiyaa ... suunaa pa.Daa hai chandan kaa palanaa - 2 palane me.n jhuule ek chandaa saa lalanaa - 2 jaise yashodaa kaa kRRiShNa kanhaiyaa o ga.ngaa maiyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.