giitaayan An Interface to ISB

apano.n ko kab he shyaam mukh dikhalaaoge - Mere Jeevan Saathi (1972)  

Lyrics: Majrooh | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
apano.n ko kab he shyaam apano.n ko kab he shyaam mukh dikhalaaoge aise me.n aaye na phir kab aaoge ( ekal vekal pa.nth nihaare ) 2 tumhare daras ko pyaase tamaam ki din se ho ga_ii shaam aao kanhaaii mere dhaam ki din se ho ga_ii shaam ban me.n aur bastii me.n dekhaa hai chahu.N or tab tumase baa.Ndhii hai aashaao.n kii Dor ( ab ulajhaao yaa sulajhaao ) 2 aan pa.Daa hai tumase hii kaam ki din se ho ga_ii shaam aao kanhaaii mere dhaam ki din se ho ga_ii shaam is man me.n aa jaao naino.n ke paT khol saa.Nso.n me.n dha.Dakan me.n mohan tumhare bol ( tumako nahii.n to kisako pukaaruu.N ) 2 mujhako to aaye ek hii naam ki din se ho ga_ii shaam aao kanhaaii mere dhaam ki din se ho ga_ii shaam aao kanhaaii mere dhaam ki din se ho ga_ii shaam
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.