dukh sukh kii har ek maalaa
qudarat hii pirotii hai
ho dukh sukh kii har ek maalaa
qudarat hii pirotii hai
haatho.n kii lakiiro.n me.n
ye jaagatii sotii hai
dukh sukh kii har ek maalaa
qudarat hii pirotii hai
yaado.n kaa safar ye kare
guzarii bahaaro.n me.n kabhii
aane waale kal pe ha.Nse
u.Date nazaaro.n me.n kabhii
ik haath me.n a.Ndhiyaaraa
ik haath me.n jyoti hai
dukh sukh kii har ek maalaa
qudarat hii pirotii hai
saamanaa kare jo isakaa
kisii me.n ye dam hai kahaa.N
isakaa khilaunaa banake
ham sab jiite hai.n yahaa.N
jis raah se ham guzare.n
ye saamane hotii hai
dukh sukh kii har ek maalaa
qudarat hii pirotii hai
aaho.n ke janaaze dil me.n
aa.Nkho.n me.n chitaae.N Gam kii
nii.nde.n ban ga_ii.n din chaar
chalii wo hawaa_e.N Gam kii
insaan ke andar bhii
aan bhii ko_ii hotii hai
dukh sukh kii har ek maalaa
qudarat hii pirotii hai
Kud ko chhupaane waalo.n kaa
pal pal piichhaa ye kare
jahaa.N bhii ho.n miTate nishaa.N
wahii.n jaake paa.Nv ye dhare
phir dil kaa har ek ghaav
ashqo.n se ye dhotii hai
dukh sukh kii har ek maalaa
qudarat hii pirotii hai
haatho.n kii lakiiro.n me.n
ye jaagatii sotii hai
dukh sukh kii har ek maalaa
qudarat hii pirotii hai
|