sha.n.:
dekho inhe.n ye hai.n os kii buu.Nde.n
patto.n kii god me.n aasamaa.N se kuude.n
a.nga.Daayii le.n phir karavaT badal kar
naazuk se motii ha.Ns de.n phisal kar
kho na jaae.N ye taare zamii.n par
ye to hai.n sardii me.n dhuup kii kirane.n
utare.n jo aa.Ngan ko sunaharaa-saa karane
man ke a.Ndhero.n ko raushan-saa kar de.N
ThiThuratii hathelii kii ra.ngat badal de.N
kho na jaae.N ye taare zamii.n par
sha.n., Do., vi.:
jaise aa.Nkho.n kii Dibiyaa me.n ni.ndiyaa
par ni.ndiyaa me.n miiThaa-saa sapanaa
aur sapane me.n mil jaaye farishtaa-saa koii
jaise ra.ngo.n bharii pichakaarii
jaise titaliyaa.N phuulo.n kii kyaarii
jaise binaa matalab kaa pyaaraa rishtaa ho koii
sha.n.:
ye to aashaa kii lahar hai
ye to ummiid kii sahar hai
Khushiyo.n kii nahar hai
kho na jaae.N ye taare zamii.n par
aa~
sha.n., Do., vi.:
dekho raato.n ke siine pe ye to
jhil-mil kisii lau se uge hai.n
ye to a.Nbiyaa kii Khushabuu hai.n baago.n se bah chale
jaise kaa.Nch kii chuu.Dii ke Tuka.De
jaise khile khile phuulo.n ke mukha.De
jaise ba.nsii koii bajaaye pe.Do.n ke tale
sha.n.:
ye to jho.nke hai.n pavan ke
hai.n ye ghu.Ngharuu jiivan ke
ye to sur hai.n chaman ke
kho na jaae.N ye taare zamii.n par
mohalle kii raunak galiyaa.N hai.n jaise
khilane kii zid par kaliyaa.N hai.n jaise
muTThii me.n mausam kii jaise havaae.N
ye hai buzurgo.n ke dil kii duaa_e.N
kho na jaae.N ye taare zamii.n par
sha.n., Do., vi.:
kabhii baate.N jaise daadii-naanii
kabhii chhalake.n jaise mam mam paanii
kabhii ban jaae.N bhole sawaalo.n kii jha.Dii
(sha.n: kho na jaae.N ye ...)
sannaaTe me.n hasii.n ke jaise
suune ho.nTho.n pe Khushiyo.n ke jaise
ye to nuur hai.n barase gar terii qismat ho ba.Dii (sha.n: kho na jaae.N ye ...)
jaise jhiil me.n laharaaye cha.ndaa
jaise bhii.D me.n apane kaa ka.ndhaa
jaise man-mauji nadiyaa
jhaag u.Daaye kuchh kahe
jaise baiThe-baiThe miiThii-sii jhapakii
jaise pyaar kii dhiimii-sii thapakii
jaise kaano.n me.n saragam haradam bajatii hii rahe
jaise barakhaa u.Daatii hai bu.Ndiyaa
(## fades out ##)
kho na jaae.N ye ... (4)
|