zi.ndagii kii raat me.n shammaa jalaane kii sazaa
umar bhar ronaa hai ik pal muskuraane kii sazaa
saika.Do.n naGame hai.n dil me.n phir bhii be_aawaaz huu.N
waqt ke haatho.n me.n mai.n TuuTaa hu_aa ik saaz huu.N
ghuT ke maranaa hai jahaa.N me.n gunagunaane kii sazaa
is jahaa.N me.n dostii aur pyaar jisakaa naam hai
ek sapano.n kaa saveraa ek Gam kii shaam hai
hamane paa_ii Gair ko apanaa banaane kii sazaa