giitaayan An Interface to ISB

kyaa mausam hai, ai diivaane dil chal kahii.n duur nikal jaaye.n - Doosaraa Aadmi (1977)  

Lyrics: Majrooh | Music: Rajesh Roshan | Singer(s): Lata, Kishore, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ki : kyaa mausam hai la : aa~ ki : ai diivaane dil are chal kahii.n duur nikal jaae.n la : aa~ ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n koii ham_dam hai la : aa~ ki : chaahat ke qaabil to kis liye ham sa.nbhal jaae.n la : aa~ ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n la : jhuum ke jab jab kabhii do dil gaate hai.n chaar kadam chalate hai.n phir kho jaate hai.n ki : he he he aisaa hai to kho jaane do mujh ko bhii aaj ye kyaa kam hai la : aa~ ki : do pal ko raahii are, mil jaae.n bahal jaae.n la : aa~ ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n ra : ye mastiyaa.N, ye bahaar dil ho chalaa beqaraar mai.n girataa huu.N mujhe thaam lo bhiige labo.n se meraa naam lo la : duniyaa ko ab do nazar kyo.n aae.n ham itane qariib aao ke ik ho jaae.n ham ke ik ho jaae.n ham dono:ke ik ho jaae.n ham ra : ke ik ho jaae.n ham la : huu.N~ khoye se ham, khoyii sii ma.nzil achchhaa hai sa.nbhal jaae.n ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n la : ho~ achchhaa hai sa.nbhal jaae.n ki : chal kahii.n duur nikal jaae.n la : ho~ achchhaa hai sa.nbhal jaae.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.