laagii manavaa ke biich kaTaarii
ki maaraa gayaa brahmachaarii, haay
kaisii zulmii banaayii taine naarii
ki maaraa gayaa brahmachaarii
aisaa ghu.Ngharuu paayaliyaa kaa chhanakaa
morii maalaa me.n aTak gayaa manakaa
mai.n to bhuula prabhuu,
mai.n to bhuula prabhuu sudh-budh saarii
ki maaraa gayaa brahmachaarii ...
koii cha.nchal koii matavaalii hai
koii naTakhaT, koii bholii-bhaalii hai
kabhii dekhii na thii, haay
kabhii dekhii na thii aisii phulavaarii
ki maaraa gayaa brahmachaarii ...
ba.Dii jatano.n saadh banaayii thii
merii baraso.n kii puNy kamaayii thii
taine pal me.n, haay,
taine pal me.n bhasam kar Daarii
ki maaraa gayaa brahmachaarii ...
mohe baavalaa banaa gayii va kii batiyaa.N
mose kaTatii nahii.n hai.n ab ratiyaa.N
pa.Dii sar pe, haay
pa.Dii sar pe bipat atii bhaarii
ki maaraa gayaa brahmachaari...
mohe un bin kachhuu na suhaaye re
more akhiyo.n ke aage laharaaye re
gore mukha.De pe, haay!
gore mukha.De pe laT kaarii-kaarii
ki maaraa gayaa brahmachaarii ...
|