giitaayan An Interface to ISB

ek lau is tarah kyo.n bujhii mere maulaa - Aamir (2008)  

Lyrics: Amitabh Varma | Music: Amit Trivedi | Singer(s): Shilpa Rao, Amitabh 
View in Nagari (Hindi)
gardisho.n me.n rahatii, bahatii, guzaratii zi.ndagiyaa.N hai.n kitanii iname.n se ek hai, terii, merii, yaa kahii.n koii ek jaise apanii par Kudaa Kair kar aisaa a.njaam kisii ruuh ko na de kabhii yahaa.N gu.nchaa muskuraataa ik vaqt se pahale kyo.n chho.D chalaa teraa ye jahaa.N ek lau is tarah kyo.n bujhii merii maulaa ek lau zi.ndagii kii, maulaa dhuup ke ujaale sii, os ke pyaale sii khushiyaa.N mile ham ko zyaadaa maa.Ngaa hai kahaa.N sar_hade.n na ho.n jahaa.N duniyaa mile ham ko par Kudaa Kair kar us ke ar_maan me.n kyo.n be-vajah ho koii qurabaan gu.nchaa muskuraataa ik vaqt se pahale kyo.n chho.D chalaa teraa ye jahaa.N ek lau is tarah ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.