giitaayan An Interface to ISB

ek nazar kisii ne dekhaa aur dil huaa diivaanaa - Rungoli (1962)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata, Kishore 
View in Nagari (Hindi)
kishor: ek nazar kisii ne dekhaa aur dil hu_aa diivaanaa hai baat bas itanii-sii aur ban gayaa afasaanaa lataa: ik nazar kisii ne dekhaa aur dil hu_aa diivaanaa hai baat bas itanii-sii aur ban gayaa afasaanaa kishor: (chorii-chorii bagiyaa me.n aa_ii jo bahaar kaliyo.n kii a.Nkhiyo.n se chhalakaa Kumaar ) _(2) chhup-chhup kisii se nazar hu_ii chaar ko_ii dil jiit gayaa ko_ii gayaa haar man mere jhuum, taaro.n ko chuum, aayaa teraa zamaanaa lataa: ik nazar kisii ne dekhaa aur dil hu_aa diivaanaa hai baat bas itanii-sii aur ban gayaa afasaanaa lataa: (baaje moraa bichhu_aa Thumak chaluu.N chaal dhak-dhak dil meraa detaa jaa_e taal) _ (2) u.De hai chunar jaise shaayar kaa Kayaal jaane kaise jaaduu leke aayaa hai ye saal aa.Nkhe.n churaa_uu.N, chhup-chhupake gaa_uu.N, mai.n ek nayaa taraanaa kishor: ek nazar kisiine dekhaa aur dil hu_aa diivaanaa hai baat bas itanii-sii aur ban gayaa afasaanaa lataa: (na_ii-na_ii duniyaa hai mai.n huu.N anajaan abhii-abhii kisii se hu_ii hai pahachaan) _(2) kishor: soch-soch haar gayaa mai.n huu.N hairaan tumhe.n kis naam se pukaaruu.N mehamaan sapanaa kahuu.N, ki apanaa kahuu.N, ki ra.ngiin ik fasaanaa lataa: ik nazar kisii ne dekhaa aur dil hu_aa diivaanaa hai baat bas itanii-sii aur ban gayaa afasaanaa kishor: ek nazar kisiin e dekhaa aur dil hu_aa diivaanaa hai baat bas itanii-sii aur ban gayaa afasaanaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.