giitaayan An Interface to ISB

aaKir tumhe.n aanaa hai zaraa der lagegii - Yalgaar (1992)  

Lyrics: Sudarshan Faakir | Music: Channi Singh | Singer(s): Sapna Mukherjee,Udit Narayan 
View in Nagari (Hindi)
udit: ai merii hamaraaz, mujhako thaam le zi.ndagii se bhaagakar aayaa huu.N sapanaa: baarish ho rahii hai ye baarish naa hotii, to bhii naa aatii udit: aaKir tumhe.n aanaa hai, zaraa der lagegii (2) baarish kaa bahaanaa hai, zaraa der lagegii aaKir tumhe.n aanaa hai, zaraa der lagegii udit: jaan-e-man, aajaa ko_ii tumhe.n apanaa samajhakar aavaaz de rahaa hai sapanaa: tumane mujhe apanaa samajhaa hii kab tum to mujhe dushman samajhate ho udit: tum hote jo dushman, to ko_ii baat hii kyaa thii apano.n ko manaanaa hai, zaraa der lagegii (2) udit: merii jaa.N, mere dard-e-mohabbat kaa kuchh Kayaal karo sapanaa: sab kuchh bhulaa do, ye dard-e-mohabbat bhii miTaa do udit: ham dard mohabbat ka miTaa sakate hai.n lekin (2) ye rog puraanaa hai, zaraa der lagegii (2) sapanaa: ye ruumaanii a.ndaaz chho.Do jo kahanaa hai vo kah Daalo udit: ye baat nahii.n vo ke, mai.n aate-hii sunaa duu.N (2) siine se, haay siine se lagaanaa hai, zaraa der lagegii (2) baarish ka bahaanaa hai, zaraa der lagegii aaKir tumhe.n aanaa hai, zaraa der lagegii o zaraa der lagegii (2) zaraa der lagegii (2)
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.