giitaayan An Interface to ISB

are dekhii zamaane kii yaarii, bichha.De sabhii baariibaarii - Kaagaz Ke Phool (1959)  

Lyrics: Kaifi Azmi | Music: S D Burman | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
are dekhii zamaane kii yaarii bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii kyaa le ke mile.n ab duniyaa se, aa.NsU ke sivaa kuchh paas nahii.n yaa phUl hI phUl the daaman me.n, yaa kaa.NTo.n kii bhii aas nahii.n matalab kii duniyaa hai saarii bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii vaqt hai maharabaa.n, aarazU hai javaa.n fikr kal kii kare.n, itanii fursat kahaa.N daur ye chalataa rahe ra.ng uchhalataa rahe ruup machalataa rahe, jaam badalataa rahe raat bhar mahamaa.N hai.n bahaare.n yahaa.N raat gar Dhal gayii phir ye khushiyaa.N kahaa.N pal bhar kii khushiyaa.N hai.n saarii ba.Dhane lagii beqaraarii ba.Dhane lagii beqaraarii are dekhii zamaane kii yaarii bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii u.D jaa u.D jaa pyaase bha.Nvare, ras naa milegaa Kaaro.n me.n kaagaz ke phUl jahaa.N khilate hai.n, baiTh naa un gulazaaro me.n naadAn tamannaa retii me.n, ummId kI kashtii khetii hai ik haath se detii hai duniyaa, sau haatho.n se letii hai ye khel hai kab se jaarii bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.