o saa.Nvalii o saa.Nvalii o saa.Nvalii matawaalii
tuune hai kyuu.N churaa lii mujhako mujh se bachaa lii
dil me.n basii thii kal tak fariyaad aur aahe.n
mehamaan ho gayii thii.n is ghar me.n sau balaaye.n
in sab se kah diyaa hai dil kyuu.N na kar de khaalii
hai aaj mere ghar me.n ek husn kaa Kazaanaa
bikharii hu_ii hai.n zulfe.n chhe.Daa jo muskuraanaa
kuchh bijaliyaa.N girii ho.n jaise ki ghaTaa kaalii
aane se yahaa.N tere ye saa.Nvalii khilii hai
mausam palaT gayaa hai duniyaa badal gayii hai
aa.Nkho.n me jaag uThii hai mastii kii sau diwaalii
|