maat pitaa guru prabhuu charaNo.n me.n praNamat baraMbaar
ham par kiyaa bahut upkaar, ham par kiyaa bahut upkaar
maataa ne jo kashhT uThaayaa,
vah R^iN kabhii na jaaye chukaayaa
u.Ngalii paka.D kar chalanaa sikhaayaa
mamataa kii dii shiital chhaayaa,
jinakii godii me.n palakar ham kahalaate hushiyaar
ham par kiyaa bahut upkaar ...
pitaa ne hamako yogya banaayaa,
kamaa kamaa kar anna khilaayaa
pa.Dhaa likhaa guNavaan banaayaa,
jiivan path par chalanaa sikhaayaa
jo.D jo.D apanii sa.npatti kaa banaa diyaa hakadaar
ham par kiyaa bahut upkaar ...
tatva GYaan guru ne darshaayaa,
a.ndhakaar sab duur haTaayaa
hR^iday me.n bhakti diip jalaakar,
hari darshan kaa maarg bataayaa
bin svaarath ho kR^ipaa kare.n ve itane ba.De hai.n udaar
ham par kiyaa bahut upkaar ...
prabhu kR^ipaa se nar tan paayaa
sa.nt milan kaa saaj sajaayaa
bal buddhi aur vidyaa dekar
sab jiivo.n me.n shreshhTh banaaya
jo bhii inakii sharaN me.n aataa, kar detaa uddhaar
ham par kiyaa bahut upkaar ...
|