tumhe.n aur kyaa duu.N mai.n dil ke sivaay
tum ko hamaarii umar lag jaaye
tum ko hamaarii umar lag jaaye (2)
muraade.n ho.n puurii saje har tamannaa
muhabbat kii duniyaa ke tum chaa.Nd ban_naa
bahaaro.n kii ma.nzil pe ha.Nsanaa hasaanaa
Kushii me.n hamaarii bhii aawaaz sun_naa
kabhii zi.ndagii me.n koii Gam na aaye
tum ko hamaarii umar lag jaaye ...
mujhe jo Kushii hai tumhe.n kyaa bataa_uu.N
bhalaa dil kii dha.Dakan ko kaise chhupaa_uu.N
kahii.n ho na jaa_uu.N Kushii se mai.n paagal
tumhe.n dekh kar aur bhii muskuraa_uu.N
Kudaa dil_jalo.n kii nazar se bachaaye
tum ko hamaarii umar lag jaaye ...
sitaaro.n se uu.Nchaa ho rutabaa tumhaaraa
bano tum har ik zi.ndagii kaa sahaaraa
tumhe.n jis se ulfat ho mil jaaye tum ko
samajh lo hamaarii duaa kaa ishaaraa
muqaddar tumhaaraa sadaa jag_magaaye
tum ko hamaarii umar lag jaaye ...
|