giitaayan An Interface to ISB

na ha.Nso ham pe zamaane ke hai.n Thukaraae hue - Gateway of India (1957)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Madan Mohan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
na ha.Nso ham pe zamaane ke hai.n Thukaraae hue dar-ba-dar phirate hai.n taqadiir ke bahakaae hue na ha.Nso ham pe ... kyaa bataae.N tumhe.n kal ham bhii chaman vaale the ye na puuchho ki hai viiraane me.n kyo.n aae hue na ha.Nso ham pe ... baat kal kii hai ki phuulo.n komasal dete the aaj kaa.NTo.n ko bhii siine se hai.n lipaTaae hue na ha.Nso ham pe ... aisii gardish me.n na Daale kabhii qismat tum ko aap ke saamane jis haal me.n hai.n aae hue na ha.Nso ham pe ... ek din phir vahii pahalii sii bahaare.n ho.ngii is ummiid pe ham dil ko hai.n bahalaae hue na ha.Nso ham pe ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.