giitaayan An Interface to ISB

o duur ke musaafir hamako bhii saath le le re - Udan Khatolaa (1955)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
chale aaj tum jahaa.N se, huii zi.ndagii paraayii tumhe.n mil gayaa Thikaanaa, hame.n maut bhii na aayii o duur ke musaafir ham ko bhii saath le le re ham ko bhii saath le le ham rah gaye akele tuune vo de diyaa Gam, bemaut mar gaye ham dil uTh gayaa jahaa.N se, le chal hame.n yahaa.N se le chal hame.n yahaa.N se kis kaam kii ye duniyaa jo zi.ndagii se khele re ham ko bhii saath le le, ham rah gaye akele suunii hai.n dil kii raahe.n, khaamosh hai.n nigaahe.n naakaam hasarato.n kaa uThane ko hai janaazaa uThane ko hai janaazaa chaaro.n taraf lage hai.n barabaadiyo.n ke mele re ham ko bhii saath le le, ham rah gaye akele o duur ke musaafir ham ko bhii saath le le re ham ko bhii saath le le ham rah gaye akele
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.