giitaayan An Interface to ISB

ye jo zi.ndagii hai - 1947 Earth (1999)  

Lyrics: Javed Akhtar | Music: A R Rahman | Singer(s): Sukhvinder Singh, Sujata Trivedi, Srinivas, chorus 
View in Nagari (Hindi)
sukh: jo afasaane dil ne bune unako koii dil hii sune ham haule haule pyaar kii dhu.ndalii fizaao.n me.n aaye gahare gahare hai.n Kvaab kii niilii ghaTaao.n ke saaye ham tum dono.n khoye khoye sapane dekhe.n jaage soye gumasum hairaa.N ko: (ye jo zi.ndagii hai koii daastaa.N hai kab hogaa kyaa ye khabar kahaa.N hai ye jo zi.ndagii hai koii kaaravaa.N hai kahaa.N jaayegii ye khabar kahaa.N hai) -2 sujaa:bahatii hai.n chi.ngaariyaa.N jaise sar se paa.Nv tak nas nas me.n halkaa halkaa hosh hai lekin kuchh bhii nahii.n ab mere bas me.n mere a.ng a.ng me.n bechainii bijalii banake laharaaye ek miiThe miiThe dard kaa baadal tan man par chhaaye saa.Nse.n ulajhe dha.Dake ye dil jaane kaise merii mushkil hogii aasaa.N ko: (ye jo zi.ndagii hai koii daastaa.N hai kab hogaa kyaa ye khabar kahaa.N hai ye jo zi.ndagii hai koii kaaravaa.N hai kahaa.N jaayegii ye khabar kahaa.N hai) -3 sukh: are kaash merii in aa.Nkho.n kii ab roshanii bujh jaaye mai.n ne dekhaa thaa jo Kvaab vo mujhako na kabhii yaad aaye aise barase Gam ke tiishe TuuTe dil ke saare shiishe dil hai viiraa.N ko: (ye jo zi.ndagii hai koii daastaa.N hai kab hogaa kyaa ye khabar kahaa.N hai ye jo zi.ndagii hai koii kaaravaa.N hai kahaa.N jaayegii ye khabar kahaa.N hai) -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.