ye kis kaa tasavvur hai, ye kis kaa fasaanaa hai
jo ashq hai.n aa.Nkho.n me.n, tas_biih kaa daanaa hai
% [tasawwur: imagination/dream/memory/thought]
% [fasaanaa: story/anecdote/description]
% [tasbiiH ka daanaa: rosary beads]
aa.Nkho.n me.n namii sii hai, chup-chup se voh baiThe hai.n
naazuk sii nigaaho.n me.n naazuk saa fasaanaa hai
ye ishq nahii.n aasaa.N, itanaa to samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai, aur Duub ke jaanaa hai
yaa vo the Kafaa ham se, yaa ham hai.n Kafaa un se
kal un kaa zamaanaa thaa, aaj apanaa zamaanaa hai
|