giitaayan An Interface to ISB

aurat ne janam diyaa mardon ko, marado.n ne use baazaar diyaa - Saadhanaa (1958)  

Lyrics: Sahir | Music: N Dutta | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
aurat ne janam diyaa mardo.n ko, mardo.n ne use baazaar diyaa jab jii chaahaa kuchalaa masalaa, jab jii chaahaa dutkaar diyaa tulatii hai kahii.n diinaaro.n me.n, bikatii hai kahii.n baazaaro.n me.n na.ngii nachavaaii jaatii hai, aiyyaasho.n ke darabaaro.n me.n ye vo beizzat chiiz hai jo, ba.nT jAtI hai izzatadaaro.n me.n mardo.n ke liye har zulm ravaa.N, aurat ke liye ronaa bhii khataa mardo.n ke liye laakho.n seje.n, aurat ke liye bas ek chitaa mardo.n ke liye har aish kaa haq, aurat ke liye jiinaa bhii sazaa jin hoTho.n ne inako pyaar kiyaa, un hoTho.n kaa vyaapaar kiyaa jis kokh me.n inakaa jism Dhalaa, us kokh kaa kaarobaar kiyaa jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zaliil-o-khAr kiyaa mardo.n ne banaayii jo rasme.n, unako haq kaa faramaan kahaa aurat ke zindaa jal jaane ko, kurbaanii aur balidaan kahaa qismat ke badale roTii dii, usako bhii ehasaan kahaa sa.nsaar kii har ek besharmii, gurbat kii god me.n palatii hai chakalo.n me.n hii aa ke rukatii hai, faako.n me.n jo raah nikalatii hai mardo.n kii havas hai jo aksar, aurat ke paap me.n Dhalatii hai aurat sa.nsaar kii qismat hai, fir bhii taqadiir kii hotii hai avataar payambar janatii hai, phir bhii shaitaan kii beTii hai ye vo badaqismat maa.N hai jo, beTo.n kii sez pe leTii hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.