sa: jise banaayaa khevanahaaraa, vahii aaj kar gayaa kinaaraa
apanaa banaake aaj kisiine luuT liyaa re bhaagya hamaaraa
aaj kii raat aaj kii raat
chaa.Ndanii a.ng me.n aag lagaaye
chakorii jhar jhar niir bahaaye
aaj meraa chandaa nahii.n hai saath
aaj kii raat ...
u: aa~ aa ha haa aa ha haa
aa ha haa
aaj kii raat aaj kii raat
magan man mand mand muskaaye
chakorii man me.n khil khil jaaye
aaj meraa chandaa hai mere saath
aaj kii raat ...
sa: basantii Rut nayano me.n aaj kii paavas ban ke chhaa_ii hai
niraalii ye puunam kii raat amaavas ban ke aayii hai
kise nayanan kaa niir dikhaa_uu.N
kise mai.n man kii piir bataa_uu.N
aaj meraa chandaa nahii.n hai saath
aaj kii raat ...
u: aaj kyo.n bajate sananan chhun
mere paa.Nv kii ye paayal
nayan me.n kaun samaayaa re
bikharane lagaa meraa kaajal
aaj mai.n giit priit ke gaa_uu.N
kabhii sharamaa_uu.N, kabhii musakaa_uu.N
aaj meraa chandaa hai mere saath
aaj kii raat ...
|