giitaayan An Interface to ISB

aap ke anurodh pe mai.n ye giit sunaataa huu.N - Anurodh (1977)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
aap ke anurodh par, mai.n ye giit sunaataa huu.N apane dil kii baato.n se, aap kaa dil bahalaataa huu.N aap ke anurodh pe ... mat puuchho auro.n ke duHkh me.n, ye prem kavi kyo.n rotaa hai bas choT kisii ko lagatii hai aur dard kisii ko hotaa hai duur kahii.n koi darpaN TuuTe, ta.Dap ke mai.n rah jaataa huu.N aap ke anurodh pe ... taariif mai.n jisakii karataa huu.N, kyaa ruup hai vo, kyaa khushabuu hai kuchh baat nahii.n aisii koii, ye ek suro.n kaa jaaduu hai koal kii ek kuuk se sabake dil me.n huuq uThaataa huu.N aap ke anurodh pe ... mai.n pahane phirataa huu.N jo, vo za.njiire.n kaise banatii hai.n ye bhed bataa duu.N giito.n me.n tasaviire.n kaise banatii hai.n sundar ho.nTho.n kii laalii se, mai.n ra.ng ruup churaataa huu.N aap ke anurodh pe main ye giit sunaataa huu.N ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.