chaa.Ndii ke cha.nd Tuka.Do.n ke li_e
(iimaan ko bechaa jaata hai) -2
masjid me Kudaa aur ma.ndir me
bhagavaan ko bechaa jaataa hai ...
yahaa.N aise bhii kuchh kaliyaa.N hai.n
jo naa bole naa muh khole
daulat ke taraazuu me inako
khud se.Nkanevaale hii tole
saiyaado.n kii is bastii me
(a.njaan ko bechaa jaataa hai) -2 ...
har chiiz kaa saudaa hotaa hai
har chiiz yahaa.N pe bikatii hai
dhanavaan ke aage nirdhan kyaa
ab saarii Kuudaa_ii jhuukatii hai
bebas inasaano.n ke har ik
(aramaan ko bechaa jaataa hai) -2 ...
ai maalik tuu ne liKii hai
patthar kii kalam se taqadiire.n
majbuur musabbiir dekh rahaa
ye khuunii jigar kii tasaviire.n
inasaan ke haatho.n hii ab to
(inasaan ko bechaa jaataa hai) -2 ...
|