duniyaa vaalo.n se duur, jalane vaalo.n se duur
aajaa aajaa chale.n, kahii.n duur, kahii.n duur, kahii.n duur
ye pyaar kaa jahaa.N hai, har dil pe maharabaa.N hai
kuchh aur ye zamii.n hai, kuchh aur aasamaa.N hai
na zulm kaa nishaa.N hai, na Gam kii daastaa.N hai
har koii jisako samajhe, vo pyaar kii zubaa.N hai
duniyaa vaalo.n se duur ...
ulfat kii raaginii me.n, mastaanii beKudii me.n
so jaaye.nge do dil, ulfat kii chaa.Ndanii me.n
phir kyaa karegii duniyaa, jal jal maregii duniyaa
taaro.n me.n do sitaare dekhaa karegii duniyaa
duniyaa vaalo.n se duur ...
haatho.n me.n haath Dale, Kud ko bhii na sambhaale
nikale.nge ham jidhar se, ho jaaye.nge ujaale
chandaa kahegaa ha.Nsakar, siine pe haath rakh kar
vo jaa rahe hai.n dekho, do pyaar karane vaale
duniyaa vaalo.n se duur ...
|