o aaShaa.Dh ke pahale baadal, o nabh ke kaajal
virahii jano.n ke karuN ashrujal, ruk jaa re ek pal
duur-duur meraa desh
jahaa.N bikharaae kesh
virahan kaa banaae vesh
priyaa merii videsh
kaise kaaTe kalesh
use denaa meraa ye sa.ndesh, re
o aaShaa.Dh ke pahale baadal
jaa re jaa o megh, o mere duHkh ke saathii
chal aise jyo.n gagan-maarg me.n chalataa haathii
ma.nd pawan aur baae.N chaatak bol rahaa hai
baa.Ndh kataar baguliyo.n kaa dal Dol rahaa hai
raajaha.ns bhii u.Date hai.n pa.nkho.n ko taane
mitr vidaa ke samay ho rahe shakun suhaane
o aaShaa.Dh ke pahale baadal
jaate-jaate tumhe.n maarg me.n milegaa maalav desh
jahaa.N mohinii maalinio.n kaa madhur manohar vesh
aa ~~
meghavaa jhar-jhar laage barasan
jaae kaho tum chhaae kit san
meghavaa jhar-jhar laage barasan
tum to rahe paradesan barasan
ham tumhare darasan ko tarasan
priit lagii tumharii o ran-chhan
meghavaa jhar-jhar laage barasan
aage tumako mitr milegii kurukShetra kii bhuumi vishaal
mahaabhaarat ke mahaayuddh kii jahaa.N jalii thii ek din jwaal
koTi-koTi jahaa.N baras pa.De the ripu dal par arjun ke baaN
kamal dalo.n par barase jyo.n terii barakhaa ke agaNit baaN
mat maar mat maar bairii barakhaa ke baaN
o~ gore gaal hu_e laal paapii kahanaa meraa maan
mat, ho mat, ho mat maar mat maar bairii barakhaa ke baaN
sanana-sanana pawan chale jhanana-jhanana jhaa.Njhar bole
san-sananan, jhan-jhanajhan jhanana-jhanana jhaa.Njhar bole
o~ kajaraa bhiige a.Ncharaa bhiige, bhiige re nanhii-sii jaan
mat, ho mat, ho mat maar mat maar bairii barakhaa ke baaN
basa.nt biitaa barakhaa aaii ab to bidesiyaa chet
meghavaa a.ng lagat hai mere lipaT-lipaT ras let
haay mai.n kyaa karuu.N
mat maar mat maar bairii barakhaa ke baaN
chal aage himagiri shikharo.n par jahaa.N baa.ns ke vR^ikSh mahaan
jinake tan ko chhuukar chhe.De pawan haThiilaa miiThii taan
tirachhii taan me.n taan milaakar gaatii hai.n kinnariyaa.N gaan
us sa.ngiit ke saath garaj tuu, jaage pashupatinaath mahaan
AUM namaH shivaay, AUM namaH shivaay, namaH shivaay
sha.nkar trilochan ardhaa.ng gaurii
shir cha.ndra dhaari, sha.nkar trilochan
mahaadev jay, mahaadev jay, mahaadev jay
gale mu.nD kii maal, kaTi sohe mR^ig chaal
har-har mahaadev kalyaaNakaarii
sha.nkar trilochan ardhaa.ng gaurii
har-har mahaadev, har-har mahaadev, har-har mahaadev
duur dekh alakaapurii jahaa.N merii priya naar
chhupii huii sahamii ThiThakii-sii lie virah kaa bhaar
aa tujhe merii do a.Nkhiyaa.N baar-baar pukaaratii
virah me.n ro-ro utaare aa.Nsuo.n kii aaratii
tum base parades priitam praaN bhii sa.ng le gae
kyaa huaa aparaadh jo badale me.n ye duHkh de gae
sukh le gae
jag lage a.ngaar-saa, si.ngaar mai.n na sa.Nvaaratii
aa tujhe merii do a.Nkhiyaa.N baar-baar pukaaratii
milan kii ek aas par ye din uge aur din Dhale
jii rahii huu.N is tarah jyo.n tel bin baatii jale
kab tak jale
raat-din gin-ginake pal-pal pa.nth-pa.nth nihaaratii
aa tujhe merii do a.Nkhiyaa.N baar-baar pukaaratii
|