giitaayan An Interface to ISB

ik hasiinaa thii, ik diivaanaa thaa - Karz (1980)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kishore, Asha, Rishi Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
ik hasiinaa thii, ik diivaanaa thaa kyaa umar, kyaa samaa, kyaa zamaanaa thaa ... ek din vo mile, roz milane lage phir muhabbat huii, bas qayaamat huii kho gaye tum kahaa.N, sun ke ye daasataa.N log hairaan hai.n, kyo.n kii an_jaan hai.n ishq kii vo galii, baat jisakii chalii us galii me.n meraa aanaa, jaanaa thaa ik hasiinaa thii, ik diivaanaa thaa ... us hasiin ne kahaa, suno jaan-e-vafaa ye falaq ye zamii.n, tere bin kuchh nahii.n tujhape maratii huu.N mai.n, pyaar karatii huu.N mai.n baat kuchh aur thii, vo nazar chor thii usake dil me.n chhupii, chaahat aur garzii thii pyaar kaa, to faqat, ik bahaanaa thaa ik hasiinaa thii, ik diivaanaa thaa ... bevafaa yaar ne, apane mahabuub se aisaa dhokhaa kiyaa - dhokhaa, dhokhaa, dhokhaa, dhokhaa - aisaa dhokhaa kiyaa, zahar usako diyaa mar gayaa, vo javaa.N ab suno daasataa.N janm le kar kahii.n, phir vo pahu.nchaa vahii.n shaql an_jaan kii, aqal hairaan kii saamanaa jab huaa, phir vahii sab huaa usakaa ye farz thaa, usape ye qarz thaa farz ko, qarZ apanaa, nibhaanaa thaa ik hasiinaa thii, ik diivaanaa thaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.