saathii:
baabul kaa ye ghar gorii
bas kuchh din kaa Thikaanaa hai
dulhan banake tujhe
piyaa ghar jaanaa hai
dulhan: baapuu tere aa.Ngan kii
mai.n to khilatii kalii huu.N
is aa.Ngan ko chho.D kyo.n
kisii aur kaa ghar sajaanaa hai
pitaa: beTii baabul ke ghar me.n
kisii aur kii amaanat hai
dastuur ye duniyaa kaa
ham sab ko nibhaanaa hai
saathii: dastuur ye duniyaa kaa
ham sab ko nibhaanaa hai
...
dulhan: maiyaa tere aa.Nchal kii
mai.n to ek gu.Diyaa huu.N
phir kyo.n is aa.Nchal ko chho.D
teraa ghar bhii begaanaa hai
## (Mother in tears and unable to speak anything) ##
## (this is the most emotional verse I think) ##
bhaaii: maa.N ke dil pe kyaa guzare
bahanaa tuu ye mat puuchh
kaleje ke Tuka.De ko
ro ro kar bhulAnaa hai
dulhan: bhaiyaa tere baaG kii
mai.n kaisii chi.Diyaa re
raat bhar kaa baseraa hai
subah u.D jaanaa hai
bhaaii: bahanaa tere bachapan kii
yaade.n ham sab ko sataaye.ngii
phir bhii terii Dolii ko
kaa.Ndhaa to lagaanaa hai
|