giitaayan An Interface to ISB

kabhii to milegii, kahii.n to milegii - Aarti (1962)  

Lyrics: Majrooh | Music: Roshan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
kabhii to milegii, kahii.n to milegii bahaaro.n kii ma.nzil raahii bahaaro.n kii ma.nzil raahii ... lambii sahii dard kii raahe.n dil kii lagan se kaam le aa.Nkho.n ke is tuufaa.N ko pii jaa aaho.n ke baadal thaam le duur to hai par, duur nahii.n hai nazaaro.n kii ma.nzil raahi bahaaro.n kii ma.nzil raahii ... aa haa haa haa, la laa, laa la la, ah haa haa ha ha maanaa ki hai gaharaa andheraa gum hai Dagar kii chaa.Ndanii mailii na ho dhu.Ndhalii pa.De na dekh nazar kii chaa.Ndanii Daale hue hai, raat kii chaadar sitaaro.n kii ma.nzil raahii bahaaro.n kii ma.nzil raahii ... hone ko hai sukh kaa ujaalaa ashko.n ke taare Dhal gaye har suu tere naqsh-e-qadam ke phuulo.n ke diipak jal gaye dekh to mu.D ke, saath hai tere sahaaro.n kii ma.nzil, raahii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.