chaa.Nd ek bevaa kii chuu.Dii kii tarah TuuTaa hu_aa
har sitaaraa besahaaraa soch me.n duubaa hu_aa
Gam ke baadal, ik janaaze kii tarah Thahare hu_e
sisakiyo.n ke saaz par kahataa hai dil rotaa hu_aa
ko_ii nahii.n meraa is duniyaa me.n aashi_aa.N barbaad hai
aa.Nsuu bharii mujhe qismat milii hai zindagii naashaad hai
jaa havaa tuu rastaa le apana
qismat hai merii jii ke ta.Dapanaa) -2
aayii hai mere Gam pe javaanii
rotii huii ik yaad hai
koii nahii.n meraa ...
suukh chuke hai.n aa.Nkho.n ke jharane
luuT liyaa hame.n daaG-e-jiGar ne
phuul nahii.n ye zakhm khile hai.n-2
aasamaa.N saiyyaad hai-2
koii nahii.n meraa ...
mausam dukho.n kaa sar par hai chaayaa
mujhase judaa hai Khud meraa saayaa) -2
ham hai.n akele Gam ke hai.n mele
ruuh kii fariyaad hai
koii nahii.n meraa ...
|