ma: (Thahar zaraa o jaanevaale) - 2
babu misTar gore kaale
kab se baiThe aas lagaa_e
ham matavaale paalishavaale
ko: Thahar zaraa o jaanevaale
babu misTar gore kaale
kab se baiThe aas lagaa_e
ham matavaale paalishavaale ...
aa: ye kaalii paalish ek aanaa
ma: ye braa_uun paalish ek aanaa
aa: juute kaa maalish ek aanaa
aa/ma: har maal milegaa ek aanaa
na blaism na paakhau.Dii hai
na paga.Dii hai na chorii
chhoTii sii dukaan lagaa_e
ham matavaale paalishavaale ...
ma: mehanat kaa phal miThaa miThaa
ko: haa.N bhai haa.N re
ma: bhaag kisiikaa ruuThaa jhuuThaa
ko: naa bhai naa re
ma: mehanat kii ek ruukhii roTii
ko: haa.N bhai haa.N re
ma: aur mufat kii dudh malaa_ii
ko: naa bhai naa re
laalach jo phokaT kii khaa_e
laalach jo haraam kii khaa_e
ham matavaale paalishavaale ...
ma: pa.nDit jii ma.ntar pa.Date hai.n
vo ga.ngaa jii nahalaate hai.n
ko: ham peT kaa ma.ntar pa.Date hai
juute kaa muh chamakaate hai
ma: pa.nDit ko paa.Nch chavannii hai
ko: ham ko to ek ikannii hai
ma: phir bhed bhaav ye kaisaa hai
ko: jab sab kaa pyaaraa paisaa hai
uu.Nch niich kuchh samajh na paa_e
ham matavaale paalishavaale ...
%
|