giitaayan An Interface to ISB

aa.Nsuu to nahii.n hai.n aa.Nkho.n me.n - Daera (1953)  

Lyrics: Majrooh | Music: Jamal Sen | Singer(s): Talat 
View in Nagari (Hindi)
aa.Nsuu to nahii.n hai.n aa.Nkho.n me.n pahaluu me.n magar dil jalataa hai, dil jalataa hai buu.Ndo.n pe lahuu hai hasarat kaa jigar par aaraa saa chalataa hai, dil jalataa hai jaag uThataa hai jab Gam kyaa kahiye us vaqt kaa aalam kyaa kahiye jis raat gaye dhiire dhiire jab koii kalejaa malataa hai, dil jalataa hai ai dard-e-jigar ye baat hai kyaa ye aap hii apanii raat hai kyaa hotii hai kasak har dha.Dakan me.n har saa.Ns liye kha.njar chalataa hai, dil jalataa hai ham haar gaye hai.n tere Gam se dekhaa hii nahii.n jaataa hamase jalataa hai pata.ngaa jab koii aur shammaa kaa aa.Nsuu Dhalataa hai, dil jalataa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.